Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmida Riaz

  • Ghazal


chaar-su hai baDi wahshat ka saman


chār-sū hai baḌī vahshat kā samāñ
kisī aaseb kā saaya hai yahāñ

koī āvāz sī hai marsiyāñ-ḳhvāñ
shahr kā shahr banā goristāñ

ek maḳhlūq jo bastī hai yahāñ
jis pe insāñ kā guzartā hai gumāñ

ḳhud to sākit hai misāl-e-tasvīr
jumbish-e-ġhair se hai raqs-kunāñ

koī chehra nahīñ juz zer-e-naqāb
na koī jism hai juz be-dil-o-jāñ

ulmā haiñ dushman-e-fahm-o-tahaqīq
kodanī sheva-e-dānish-mandāñ

shā.ir-e-qaum pe ban aa.ī hai
kizb kaise ho tasavvuf meñ nihāñ

lab haiñ masrūf-e-qasīda-goī
aur āñkhoñ meñ hai zillat uryāñ

sabz ḳhat āqibat-o-dīñ ke asiir
pārsā ḳhush-tan-o-nau-ḳhez javāñ

ye zan-e-naġhma-gar-o-ishq-shi.ār
yās-o-hasrat se huī hai hairāñ

kis se ab ārzū-e-vasl kareñ
is ḳharābe meñ koī mard kahāñ

chaar-su hai baDi wahshat ka saman
kisi aaseb ka saya hai yahan

koi aawaz si hai marsiyan-KHwan
shahr ka shahr bana goristan

ek maKHluq jo basti hai yahan
jis pe insan ka guzarta hai guman

KHud to sakit hai misal-e-taswir
jumbish-e-ghair se hai raqs-kunan

koi chehra nahin juz zer-e-naqab
na koi jism hai juz be-dil-o-jaan

ulma hain dushman-e-fahm-o-tahaqiq
kodani shewa-e-danish-mandan

shair-e-qaum pe ban aai hai
kizb kaise ho tasawwuf mein nihan

lab hain masruf-e-qasida-goi
aur aankhon mein hai zillat uryan

sabz KHat aaqibat-o-din ke asir
parsa KHush-tan-o-nau-KHez jawan

ye zan-e-naghma-gar-o-ishq-shiar
yas-o-hasrat se hui hai hairan

kis se ab aarzu-e-wasl karen
is KHarabe mein koi mard kahan


Leave a comment

+