dil ke qirtās pe ik lafz mohabbat likhnā
jo kabhī ishq meñ kī thī vo riyāzat likhnā
likhne baiTho jo kabhī dil kī hikāyat koī
naam us meñ mirā tum hasb-e-rivāyat likhnā
pañkhuḌī phuul kī lab aañkh hai gahrā sāgar
abrū haiñ teġh se aur chaal qayāmat likhnā
bhūlne vaale agar yaad kabhī aa jā.ūñ
bhīgī palkoñ se faqat ashk-e-nadāmat likhnā
vaise aḳhlāq kī do chaar kitābeñ paḌh kar
ham ko aatā hī nahīñ harf-e-siyāsat likhnā
tire hāthoñ ko jo mālik ne qalam sauñpā hai
jhuuT ko jhuuT sadāqat ko sadāqat likhnā
tum jinheñ kahte ho kāfar unheñ aa kar dekho
kaise karte haiñ ye insān kī ḳhidmat likhnā
ai ġham-e-ishq mire paañv ke chhāle gin kar
dasht-e-ulfat kī ye majbūr masāfat likhnā
yaad hai pahlī mohabbat kī ḳhumārī ab tak
vo daraḳhtoñ pe tirā naam 'masarrat' likhnā
dil ke qirtas pe ek lafz mohabbat likhna
jo kabhi ishq mein ki thi wo riyazat likhna
likhne baiTho jo kabhi dil ki hikayat koi
nam us mein mera tum hasb-e-riwayat likhna
pankhuDi phul ki lab aankh hai gahra sagar
abru hain tegh se aur chaal qayamat likhna
bhulne wale agar yaad kabhi aa jaun
bhigi palkon se faqat ashk-e-nadamat likhna
waise aKHlaq ki do chaar kitaben paDh kar
hum ko aata hi nahin harf-e-siyasat likhna
tere hathon ko jo malik ne qalam saunpa hai
jhuT ko jhuT sadaqat ko sadaqat likhna
tum jinhen kahte ho kafar unhen aa kar dekho
kaise karte hain ye insan ki KHidmat likhna
ai gham-e-ishq mere panw ke chhaale gin kar
dasht-e-ulfat ki ye majbur masafat likhna
yaad hai pahli mohabbat ki KHumari ab tak
wo daraKHton pe tera nam 'masarrat' likhna
Leave a comment