Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmida Mosarrat Ahmad

  • Ghazal


guzri thi ek bar jo dil ki gali se main


guzrī thī ek baar jo dil kī galī se maiñ
do-chār aaj bhī huuñ usī be-kalī se maiñ

be-zār is qadar huuñ ġham-e-āshiqī se maiñ
mujh se zarā ḳhafā hai ḳhushī aur ḳhushī se maiñ

niklī huuñ jab se DhūñDne be-laus chāhateñ
dhokā hī khā rahī huuñ baḌī sādgī se maiñ

ma.adūm us kī aañkh se pahchān ho ga.ī
jaise ki mill rahī thī kisī ajnabī se maiñ

jins-e-vafā jahān meñ nāyāb kyoñ huī
ro ro ke pūchhtī rahī har aadmī se maiñ

apnī ḳhushī se vaise basar to na kar sakī
nārāz bhī nahīñ huuñ magar zindagī se maiñ

maiñ ne bhī saaf lafzoñ meñ ġham se ye kah diyā
pīchhā chhuḌā ke aa.ī huuñ afsurdagī se maiñ

mai-ḳhāna chal ke riñd kā ḳhud pūchhtā hai haal
mānūs is tarah se huuñ ab mai-kashī se maiñ

jām-o-subū nahīñ tirī āñkhoñ se ab pilā
ai saaqī mar na jā.ūñ kahīñ tishnagī se maiñ

guzri thi ek bar jo dil ki gali se main
do-chaar aaj bhi hun usi be-kali se main

be-zar is qadar hun gham-e-ashiqi se main
mujh se zara KHafa hai KHushi aur KHushi se main

nikli hun jab se DhunDne be-laus chahaten
dhoka hi kha rahi hun baDi sadgi se main

madum us ki aankh se pahchan ho gai
jaise ki mill rahi thi kisi ajnabi se main

jins-e-wafa jahan mein nayab kyon hui
ro ro ke puchhti rahi har aadmi se main

apni KHushi se waise basar to na kar saki
naraaz bhi nahin hun magar zindagi se main

main ne bhi saf lafzon mein gham se ye kah diya
pichha chhuDa ke aai hun afsurdagi se main

mai-KHana chal ke rind ka KHud puchhta hai haal
manus is tarah se hun ab mai-kashi se main

jam-o-subu nahin teri aankhon se ab pila
ai saqi mar na jaun kahin tishnagi se main


Leave a comment

+