Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmida Mosarrat Ahmad

  • Ghazal


viran sa ab hun jo main aisa to nahin tha


vīrān sā ab huuñ jo maiñ aisā to nahīñ thā
hotā thā samundar kabhī sahrā to nahīñ thā

chehre pe raqam thā jo vo paḌh hī nahīñ paayā
sab jāntā thā itnā bhī saada to nahīñ thā

āñgan meñ mire dil ke chalī aa.ī thī kal shaam
thī yaad tumhārī koī jhoñkā to nahīñ thā

chup-chāp tasavvur meñ chale aate kisī roz
sochoñ pe merī jaañ koī pahra to nahīñ thā

ham dard kā afsāna sunāte use kyūñ-kar
zāhir meñ jo apnā thā par apnā to nahīñ thā

sab chal diye maujoñ ke havāle use kar ke
maanā ki bhañvar meñ thā vo Duubā to nahīñ thā

vo jis ko thā siine kā har ik zaḳhm dikhāyā
bātoñ pe mirī us ko bharosa to nahīñ thā

kar ke mujhe barbād gayā hai vo sitamgar
gulshan yūñhī dil kā mire ujḌā to nahīñ thā

kyoñ rotā hai ab hijr meñ tere vo 'masarrat'
jaate hue us ne tujhe rokā to nahīñ thā

viran sa ab hun jo main aisa to nahin tha
hota tha samundar kabhi sahra to nahin tha

chehre pe raqam tha jo wo paDh hi nahin paya
sab jaanta tha itna bhi sada to nahin tha

aangan mein mere dil ke chali aai thi kal sham
thi yaad tumhaari koi jhonka to nahin tha

chup-chap tasawwur mein chale aate kisi roz
sochon pe meri jaan koi pahra to nahin tha

hum dard ka afsana sunate use kyun-kar
zahir mein jo apna tha par apna to nahin tha

sab chal diye maujon ke hawale use kar ke
mana ki bhanwar mein tha wo Duba to nahin tha

wo jis ko tha sine ka har ek zaKHm dikhaya
baaton pe meri us ko bharosa to nahin tha

kar ke mujhe barbaad gaya hai wo sitamgar
gulshan yunhi dil ka mere ujDa to nahin tha

kyon rota hai ab hijr mein tere wo 'masarrat'
jate hue us ne tujhe roka to nahin tha


Leave a comment

+