Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmida Mosarrat Ahmad

  • Ghazal


bin piye ek KHumar tha kya tha


bin piye ik ḳhumār thā kyā thā
terā chehra bahār thā kyā thā

vo rah-e-ishq meñ junūñ apnā
dil jo tujh par nisār thā kyā thā

vo mirā vahm yā haqīqat thī
terī nazroñ meñ pyaar thā kyā thā

bazm meñ terī mehrbāñ the bahut
merā un meñ shumār thā kyā thā

vaqt-e-ruḳhsat kisī kī āñkhoñ meñ
chhāyā kaisā ġhubār thā kyā thā

vo bhī royā thā dard-e-furqat meñ
lag rahā ashk-bār thā kyā thā

tere dil meñ sadā khaTaktā rahā
bad-gumānī kā ḳhaar thā kyā thā

kar ke phir mere e'tibār kā ḳhuun
jo gayā hai vo yaar thā kyā thā

ham the uljhan meñ aap bhī chup the
kaun sar par savār thā kyā thā

maiñ to mar kar bhī muntazir hī rahī
vo tirā intizār thā kyā thā

bin piye ek KHumar tha kya tha
tera chehra bahaar tha kya tha

wo rah-e-ishq mein junun apna
dil jo tujh par nisar tha kya tha

wo mera wahm ya haqiqat thi
teri nazron mein pyar tha kya tha

bazm mein teri mehrban the bahut
mera un mein shumar tha kya tha

waqt-e-ruKHsat kisi ki aankhon mein
chhaya kaisa ghubar tha kya tha

wo bhi roya tha dard-e-furqat mein
lag raha ashk-bar tha kya tha

tere dil mein sada khaTakta raha
bad-gumani ka KHar tha kya tha

kar ke phir mere e'tibar ka KHun
jo gaya hai wo yar tha kya tha

hum the uljhan mein aap bhi chup the
kaun sar par sawar tha kya tha

main to mar kar bhi muntazir hi rahi
wo tera intizar tha kya tha


Leave a comment

+