Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmida Mosarrat Ahmad

  • Ghazal


de gae zaKHm mere chahne wale mujhko


de ga.e zaḳhm mire chāhne vaale mujh ko
aaj tanhā huuñ bahut koī sambhāle mujh ko

Dūbne vaale ko tinke kā sahārā bhī bahut
koī aisā ho ki aa kar jo bachā le mujh ko

vo jo kahte the ki jīvan kī ḳhushī ho tum hī
kar ga.e aaj vahī ġham ke havāle mujh ko

dil-e-sad-chāk ko vo ḳhaar se kartā hai rafū
haa.e ye baḳhiya-garī maar na Daale mujh ko

ek muddat se maiñ ḳhud se bhī huuñ rūThī rūThī
ai mirī jaan kabhī aa ke manā le mujh ko

hai safar dasht kā mushkil to magar himmat kar
hausla dene lage paañv ke chhāle mujh ko

yaad aatī hai mujhe maañ kī vo mamtā aksar
laaD se jab vo khilātī thī nivāle mujh ko

de gae zaKHm mere chahne wale mujh ko
aaj tanha hun bahut koi sambhaale mujh ko

Dubne wale ko tinke ka sahaara bhi bahut
koi aisa ho ki aa kar jo bacha le mujh ko

wo jo kahte the ki jiwan ki KHushi ho tum hi
kar gae aaj wahi gham ke hawale mujh ko

dil-e-sad-chaak ko wo KHar se karta hai rafu
hae ye baKHiya-gari mar na Dale mujh ko

ek muddat se main KHud se bhi hun ruThi ruThi
ai meri jaan kabhi aa ke mana le mujh ko

hai safar dasht ka mushkil to magar himmat kar
hausla dene lage panw ke chhaale mujh ko

yaad aati hai mujhe man ki wo mamta aksar
laD se jab wo khilati thi niwale mujh ko


Leave a comment

+