maiñ yuuñ jahāñ ke ḳhvāb se tanhā guzar gayā
jaise ki ek dasht se dariyā guzar gayā
yuuñ jagmagā uThā hai tirī yaad se vajūd
jaise lahū se koī sitāra guzar gayā
guzrā mire qarīb se vo is adā ke saath
raste ko chhū ke jis tarah rasta guzar gayā
manzar meñ ghul ga.e haiñ dhanak ke tamām rañg
be-rañg ā.īne se vo lamha guzar gayā
main yun jahan ke KHwab se tanha guzar gaya
jaise ki ek dasht se dariya guzar gaya
yun jagmaga uTha hai teri yaad se wajud
jaise lahu se koi sitara guzar gaya
guzra mere qarib se wo is ada ke sath
raste ko chhu ke jis tarah rasta guzar gaya
manzar mein ghul gae hain dhanak ke tamam rang
be-rang aaine se wo lamha guzar gaya
Leave a comment