dil o nigāh meñ us ko agar nahīñ rahnā
'shanās' mujh ko bhī phir dar-ba-dar nahīñ rahnā
agar maiñ ā.ūñgā sadiyoñ kī umr lā.ūñgā
ki tere paas mujhe muḳhtasar nahīñ rahnā
ye kā.enāt mirī uñgliyoñ pe nāchtī hai
mujhe sitāroñ ke zer-e-asar nahīñ rahnā
maiñ jāntā huuñ magar dil ko kaun samjhā.e
'shanās' us ko mirā ham-safar nahīñ rahnā
dil o nigah mein us ko agar nahin rahna
'shanas' mujh ko bhi phir dar-ba-dar nahin rahna
agar main aaunga sadiyon ki umr launga
ki tere pas mujhe muKHtasar nahin rahna
ye kaenat meri ungliyon pe nachti hai
mujhe sitaron ke zer-e-asar nahin rahna
main jaanta hun magar dil ko kaun samjhae
'shanas' us ko mera ham-safar nahin rahna
Videos
This video is playing from YouTube
Videos
This video is playing from YouTube
Faheem Shanas Kazmi
Leave a comment