Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faheem Shanas Kazmi

  • Ghazal


dhund mein Dubi sari faza thi uske baal bhi gile the


dhund meñ Duubī saarī fazā thī us ke baal bhī giile the
jis kī āñkheñ jhīloñ jaisī jis ke hoñT rasīle the

jis ko kho kar ḳhaak hue ham aaj use bhī dekhā to
hañstī āñkheñ afsurda thiiñ hoñT bhī niile niile the

jin ko chhū kar kitne 'zaidī' apnī jaan gañvā baiThe
mere ahd kī shahnāzoñ ke jism baḌe zahrīle the

āḳhir āḳhir aisā huā ki terā naam bhī bhuul ga.e
avval avval ishq meñ jānāñ ham kitne joshīle the

āñkheñ bujhā ke ḳhud ko bhulā ke aaj 'shanās' maiñ aayā huuñ
talḳh thiiñ lahjoñ kī barsāteñ rañg bhī kaḌve-kasīle the

dhund mein Dubi sari faza thi us ke baal bhi gile the
jis ki aankhen jhilon jaisi jis ke honT rasile the

jis ko kho kar KHak hue hum aaj use bhi dekha to
hansti aankhen afsurda thin honT bhi nile nile the

jin ko chhu kar kitne 'zaidi' apni jaan ganwa baiThe
mere ahd ki shahnazon ke jism baDe zahrile the

aaKHir aaKHir aisa hua ki tera nam bhi bhul gae
awwal awwal ishq mein jaanan hum kitne joshile the

aankhen bujha ke KHud ko bhula ke aaj 'shanas' main aaya hun
talKH thin lahjon ki barsaten rang bhi kaDwe-kasile the

RECITATIONS Fahad Husain



00:00/00:00 dhund mein Dubi sari faza thi uske baal bhi gile the Fahad Husain

Leave a comment

+