kyoñ kahūñ maiñ ki sitam kā maiñ sazā-vār na thā
dil diyā thā tujhe kis tarah gunahgār na thā
umr bhar mujh se thī har ek ko be-vaj.h ḳhalish
kyūñki maiñ gulshan-e-ālam meñ koī ḳhaar na thā
kyā na kuchh ho gayā ik ġhairat-e-yūsuf ke liye
kab mohabbat meñ maiñ rusvā sar-e-bāzār na thā
kyā ye kartā mire zaḳhm-e-jigar-o-dil kā ilaaj
charḳh-e-be-rahm koī marham-e-zañgār na thā
fard niklā fan-e-duzdī meñ ḳhayāl-e-dilbar
us kā aanā thā ki pahlū meñ dil-e-zār na thā
kyā bahaltā gul-o-sumbul se chaman meñ mirā dil
vo tirī zulf na thā ye tirā ruḳhsār na thā
apnī qismat hī kā shākī maiñ mohabbat meñ rahā
shikva-e-charḳh na thā kuchh gila-e-yār na thā
hashr ke roz mire husn-e-gunah kā yārab
terī rahmat ke sivā koī ḳharīdār na thā
terī āñkhoñ kī mohabbat kā faqat thā use rog
varna kuchh nargis-e-bīmār ko āzār na thā
tum ne mahfil meñ jagah dī use hasrat hai mujhe
ġhair is āv-bhagat kā to sazā-vār na thā
nargis us aañkh kī bīmār-e-gul us ruḳh pe nisār
bāġh-e-ālam meñ kise ishq kā āzār na thā
ho ga.ī rasm-e-mulāqāt chalo bahs hai kyā
tum ḳhatā par na the aur maiñ bhī vafādār na thā
do pyāloñ meñ hai saaqī ke ajab kaif 'fahīm'
āñkheñ milte hī vo thā kaun jo sarshār na thā
kyon kahun main ki sitam ka main saza-war na tha
dil diya tha tujhe kis tarah gunahgar na tha
umr bhar mujh se thi har ek ko be-wajh KHalish
kyunki main gulshan-e-alam mein koi KHar na tha
kya na kuchh ho gaya ek ghairat-e-yusuf ke liye
kab mohabbat mein main ruswa sar-e-bazar na tha
kya ye karta mere zaKHm-e-jigar-o-dil ka ilaj
charKH-e-be-rahm koi marham-e-zangar na tha
fard nikla fan-e-duzdi mein KHayal-e-dilbar
us ka aana tha ki pahlu mein dil-e-zar na tha
kya bahalta gul-o-sumbul se chaman mein mera dil
wo teri zulf na tha ye tera ruKHsar na tha
apni qismat hi ka shaki main mohabbat mein raha
shikwa-e-charKH na tha kuchh gila-e-yar na tha
hashr ke roz mere husn-e-gunah ka yarab
teri rahmat ke siwa koi KHaridar na tha
teri aankhon ki mohabbat ka faqat tha use rog
warna kuchh nargis-e-bimar ko aazar na tha
tum ne mahfil mein jagah di use hasrat hai mujhe
ghair is aaw-bhagat ka to saza-war na tha
nargis us aankh ki bimar-e-gul us ruKH pe nisar
bagh-e-alam mein kise ishq ka aazar na tha
ho gai rasm-e-mulaqat chalo bahs hai kya
tum KHata par na the aur main bhi wafadar na tha
do pyalon mein hai saqi ke ajab kaif 'fahim'
aankhen milte hi wo tha kaun jo sarshaar na tha
Source:
Leave a comment