Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faheem Aazmi

  • Ghazal


lafz ka bas hai talluq mere tere darmiyan


lafz kā bas hai ta.alluq mere tere darmiyāñ
lafz ke ma.anī pe qaa.em saare rishtoñ kā nishāñ

pahle chup kī guftugū us kī samajh meñ aatī thī
bhuul baiThī hai kahī aur an-kahī donoñ zabāñ

lafz ḳhud ham ne gaḌhe iz.hār-e-ulfat ke liye
vasl kī takmīl hai mamnūn-e-tashkīl-e-lisāñ

ho na gar ulfat to nafrat ho zarūrī to nahīñ
ye bhī ho saktā hai vo ho be-niyāz-e-āshiqāñ

lab-kushā hoñ yā ki chup hoñ dekh kar us kī taraf
hai 'fahīm' apne qabīle kā samajhtā hai ziyāñ

lafz ka bas hai talluq mere tere darmiyan
lafz ke mani pe qaem sare rishton ka nishan

pahle chup ki guftugu us ki samajh mein aati thi
bhul baiThi hai kahi aur an-kahi donon zaban

lafz KHud hum ne gaDhe izhaar-e-ulfat ke liye
wasl ki takmil hai mamnun-e-tashkil-e-lisan

ho na gar ulfat to nafrat ho zaruri to nahin
ye bhi ho sakta hai wo ho be-niyaz-e-ashiqan

lab-kusha hon ya ki chup hon dekh kar us ki taraf
hai 'fahim' apne qabile ka samajhta hai ziyan


Source: Book : Aiwan (Pg. 87) Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem Publication : Nirali Duniya (1998) Edition : 1998

Leave a comment

+