har āshnā se us bin begāna ho rahā huuñ
majlis meñ sham.a-rū kī parvāna ho rahā huuñ
mujh ko malāmat-e-ḳhalq ḳhātir meñ nāhīñ hargiz
zulfāñ kī fikr meñ maiñ dīvāna ho rahā huuñ
saaqī sharāb-o-sāġhar ab chāhtā nahīñ huuñ
us ke ḳhayāl suuñ maiñ mastāna ho rahā huuñ
us ke ḳhayāl suuñ maiñ tanhā-nashīñ huuñ daa.im
vahshī sā maiñ saban suuñ begāna ho rahā huuñ
dekh us kī laT kā phāñdā bhūlā huuñ āb-o-dāna
'fā.ez' asiir us kā be-dāna ho rahā huuñ
har aashna se us bin begana ho raha hun
majlis mein shama-ru ki parwana ho raha hun
mujh ko malamat-e-KHalq KHatir mein nahin hargiz
zulfan ki fikr mein main diwana ho raha hun
saqi sharab-o-saghar ab chahta nahin hun
us ke KHayal sun main mastana ho raha hun
us ke KHayal sun main tanha-nashin hun daim
wahshi sa main saban sun begana ho raha hun
dekh us ki laT ka phanda bhula hun aab-o-dana
'faez' asir us ka be-dana ho raha hun
Leave a comment