Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faez Dehlvi

  • Ghazal


yar mera miyan-e-gulshan hai


yaar merā miyān-e-gulshan hai
ġharq-e-ḳhūñ phuul tā-ba-dāman hai

dil lubhātā hai sab kā vo sājan
dil-farebī meñ us ko kyā fan hai

taare jiyūñ dar hai jis ke halqa-ba-gosh
vo binā gosh sub.h-e-raushan hai

us nazāre se sab shahīd hue
vo nayan kyā balā-e-rah-zan hai

kyā bayāñ kar sakūñ maiñ gat us kī
'fā.ez' at ḳhush-adā sirījan hai

yar mera miyan-e-gulshan hai
gharq-e-KHun phul ta-ba-daman hai

dil lubhata hai sab ka wo sajan
dil-farebi mein us ko kya fan hai

tare jiyun dar hai jis ke halqa-ba-gosh
wo bina gosh subh-e-raushan hai

us nazare se sab shahid hue
wo nayan kya bala-e-rah-zan hai

kya bayan kar sakun main gat us ki
'faez' at KHush-ada sirijan hai


Source: Dewan-e-Faiz

Leave a comment

+