tujh binā dil ko be-qarārī hai
dam-ba-dam mujh ko āh-o-zārī hai
haath tere jo dekhī hai talvār
aarzū dil ko jāñ-sipārī hai
mujh ko auroñ se kuchh nahīñ hai kaam
tujh se har dam umīd-vārī hai
ham se tujh ko nahīñ milāp kabhī
ye magar jag meñ taur-e-yārī hai
aah kuuñ dil meñ maiñ chhupātā huuñ
lāzim-e-ishq parda-dārī hai
gir rahā terī raah par 'fā.ez'
ishq kī shart ḳhāksārī hai
tujh bina dil ko be-qarari hai
dam-ba-dam mujh ko aah-o-zari hai
hath tere jo dekhi hai talwar
aarzu dil ko jaan-sipari hai
mujh ko auron se kuchh nahin hai kaam
tujh se har dam umid-wari hai
hum se tujh ko nahin milap kabhi
ye magar jag mein taur-e-yari hai
aah kun dil mein main chhupata hun
lazim-e-ishq parda-dari hai
gir raha teri rah par 'faez'
ishq ki shart KHaksari hai
RECITATIONS
Fasih Akmal
00:00/00:00
tujh bina dil ko be-qarari hai
Fasih Akmal
Leave a comment