ai jaan shab-e-hijrāñ tirī saḳht baḌī hai
har pal magar is nis kī barmhā kī ghaḌī hai
har baal meñ hai merā dil-e-sāf giraftār
kyā ḳhuub tirī zulf meñ motiyāñ kī laḌī hai
nīlam kī jhalak detī hai yāqūt meñ goyā
so tere lab-e-lāl pe missī kī dhaḌī hai
the zikr darāzī ke tirī hijr kī shab ke
kyā pahuñchī shitāb aa ke tirī umr baḌī hai
sūraj kā jalāne kuuñ jigar jiyūñ dil-e-'fā.ez'
ai naar tū kyuuñ dhuup meñ sar khol khaḌī hai
ai jaan shab-e-hijran teri saKHt baDi hai
har pal magar is nis ki barmha ki ghaDi hai
har baal mein hai mera dil-e-saf giraftar
kya KHub teri zulf mein motiyan ki laDi hai
nilam ki jhalak deti hai yaqut mein goya
so tere lab-e-lal pe missi ki dhaDi hai
the zikr daraazi ke teri hijr ki shab ke
kya pahunchi shitab aa ke teri umr baDi hai
suraj ka jalane kun jigar jiyun dil-e-'faez'
ai nar tu kyun dhup mein sar khol khaDi hai
Source: Dewan-e-Faiz
Leave a comment