Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ezaz Kazmi

  • Ghazal


tujhse mahw-e-guftugu hona paDa


tujh se mahv-e-guftugū honā paḌā
maiñ se hijrat kar ke tū honā paḌā

maiñ abhī jī-bhar ke jī paayā na thā
maut tere rū-ba-rū honā paḌā

maiñ pareshānī meñ ghirTā thā kabhī
aur hairāñ bhī kabhū honā paḌā

merī hasrat thī kabhī tū māh-vash
mujh ko terī aarzū honā paḌā

sāmne lashkar thā jo vo haq pe thā
haq pe mujh ko ai adū honā paḌā

tujh se miltā-jultā honā chāhā thā
ho gayā to hū-ba-hū honā paḌā

tujh se mahw-e-guftugu hona paDa
main se hijrat kar ke tu hona paDa

main abhi ji-bhar ke ji paya na tha
maut tere ru-ba-ru hona paDa

main pareshani mein ghirTa tha kabhi
aur hairan bhi kabhu hona paDa

meri hasrat thi kabhi tu mah-wash
mujh ko teri aarzu hona paDa

samne lashkar tha jo wo haq pe tha
haq pe mujh ko ai adu hona paDa

tujh se milta-julta hona chaha tha
ho gaya to hu-ba-hu hona paDa


Leave a comment

+