Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ezaz Kazmi

  • Ghazal


zinda rakhni hai mujhe ijz ke mear ki dhun


zinda rakhnī hai mujhe ijz ke me.aar kī dhun
ek sandesa hai ye hukm se inkār kī dhun

tū palaT aa ki tujhe merī zarūrat paḌegī
tujh ko zinda nahīñ chhoḌegī ye be-kār kī dhun

dost mansūr se hotī huī ham tak pahuñchī
haq kī āvāz pe DaT jaate hue daar kī dhun

aap aate haiñ chale jaate haiñ milte hī nahīñ
dil meñ rah jaatī hai har baar hī iz.hār kī dhun

ai ḳhudā izn mile terī taraf aane kā
kitnī betāb hai ab tere gunahgār kī dhun

shahr chhoḌā hai tire ishq kī vahshat ke sabab
jaane le jaa.e kahāñ ab dil-e-bīmār kī dhun

zinda rakhni hai mujhe ijz ke mear ki dhun
ek sandesa hai ye hukm se inkar ki dhun

tu palaT aa ki tujhe meri zarurat paDegi
tujh ko zinda nahin chhoDegi ye be-kar ki dhun

dost mansur se hoti hui hum tak pahunchi
haq ki aawaz pe DaT jate hue dar ki dhun

aap aate hain chale jate hain milte hi nahin
dil mein rah jati hai har bar hi izhaar ki dhun

ai KHuda izn mile teri taraf aane ka
kitni betab hai ab tere gunahgar ki dhun

shahr chhoDa hai tere ishq ki wahshat ke sabab
jaane le jae kahan ab dil-e-bimar ki dhun


Leave a comment

+