Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ezaz Kazmi

  • Ghazal


is dasht-e-be-aman mein utarna mujhe bhi hai


is dasht-e-be-amāñ meñ utarnā mujhe bhī hai
paas is dil-e-hazīñ kā to varna mujhe bhī hai

duniyā hasīn-tar hai magar ai mire ḳhudā
bhejā hai tū ne aur guzarnā mujhe bhī hai

fursat milī to tark karūñgā ta.alluqāt
ye kaam ek baar to karnā mujhe bhī hai

us ne bhī ek aan nazar aanā hai zarūr
is bhiiḌ meñ kahīñ se ubharnā mujhe bhī hai

bas sochtā yahī huuñ maiñ 'e.azāz'-kāzmī
jitnā bhī jī luuñ āḳhirash marnā mujhe bhī hai

is dasht-e-be-aman mein utarna mujhe bhi hai
pas is dil-e-hazin ka to warna mujhe bhi hai

duniya hasin-tar hai magar ai mere KHuda
bheja hai tu ne aur guzarna mujhe bhi hai

fursat mili to tark karunga talluqat
ye kaam ek bar to karna mujhe bhi hai

us ne bhi ek aan nazar aana hai zarur
is bhiD mein kahin se ubharna mujhe bhi hai

bas sochta yahi hun main 'eazaz'-kazmi
jitna bhi ji lun aaKHirash marna mujhe bhi hai


Leave a comment

+