umañgoñ meñ vahī josh-e-tamannā-zād baaqī hai
abhī dil meñ ḳhudā rakkhe kisī kī yaad baaqī hai
sar-e-manzil fareb-e-rahnumā kā toḌ mushkil thā
ġhanīmat hai ki shauq-e-marhala-ījād baaqī hai
hañsī aatī hai tere is ġhurūr-e-dām-dārī par
koī phandā bhī sābit aaj ai sayyād baaqī hai
sahar ne aa ke chehra vaqt kā dhoyā to kyā dhoyā
fazāoñ par ġhubār-e-ḳhātir-e-nāshād baaqī hai
tabāhī gherne vaalī thī āḳhir kin safīnoñ ko
tah-e-girdāb shor-e-har-che bādā-bād baaqī hai
abhī se bañdh ga.ī hichkī chaman-afroz kaliyoñ kī
abhī to dāstān-e-nig.hat-e-barbād baaqī hai
zabān-e-vaqt kal se ik nayā afsāna chheḌegī
bahut thoḌī sī 'yāqūb' aaj kī rūdād baaqī hai
umangon mein wahi josh-e-tamanna-zad baqi hai
abhi dil mein KHuda rakkhe kisi ki yaad baqi hai
sar-e-manzil fareb-e-rahnuma ka toD mushkil tha
ghanimat hai ki shauq-e-marhala-ijad baqi hai
hansi aati hai tere is ghurur-e-dam-dari par
koi phanda bhi sabit aaj ai sayyaad baqi hai
sahar ne aa ke chehra waqt ka dhoya to kya dhoya
fazaon par ghubar-e-KHatir-e-nashad baqi hai
tabahi gherne wali thi aaKHir kin safinon ko
tah-e-girdab shor-e-har-che baada-baad baqi hai
abhi se bandh gai hichki chaman-afroz kaliyon ki
abhi to dastan-e-nighat-e-barbaad baqi hai
zaban-e-waqt kal se ek naya afsana chheDegi
bahut thoDi si 'yaqub' aaj ki rudad baqi hai
Source: Sang-e-meel
Leave a comment