Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ezaz Kazmi

  • Ghazal


lauT aaega dekhna mere dost


lauT aa.egā dekhnā mire dost
jagmagā.egā rāsta mire dost

hazrat-e-'dāġh' ke maiñ saa.e meñ huuñ
hazrat-e-'jaun-eliyā' mire dost

kuchh gunahgār bhī haiñ yaar mire
aur haiñ chand pārsā mire dost

maiñ tujhe chhoḌ kar na jaatā magar
aaḌe aa.ī mirī anā mire dost

maiñ mirā kamra merī vahshat tū
ḳhāmushī shor ik ḳhalā mire dost

kabhī fikr-e-ma.āsh aur kabhī dil
dukh haiñ mere judā judā mire dost

yaar 'e.azāz' chal nikalte haiñ
maut ne mujh se kah diyā mire dost

lauT aaega dekhna mere dost
jagmagaega rasta mere dost

hazrat-e-'dagh' ke main sae mein hun
hazrat-e-'jaun-eliya' mere dost

kuchh gunahgar bhi hain yar mere
aur hain chand parsa mere dost

main tujhe chhoD kar na jata magar
aaDe aai meri ana mere dost

main mera kamra meri wahshat tu
KHamushi shor ek KHala mere dost

kabhi fikr-e-maash aur kabhi dil
dukh hain mere juda juda mere dost

yar 'eazaz' chal nikalte hain
maut ne mujh se kah diya mere dost


Leave a comment

+