tum aisā karnā ki koī jugnū koī sitāra sambhāl rakhnā
mire añdheroñ kī fikr chhoḌo bas apne ghar kā ḳhayāl rakhnā
ujaaḌ mausam meñ ret-dhartī pe fasl boī thī chāñdnī kī
ab us meñ ugne lage añdhere to kaisā jī meñ malāl rakhnā
dayār-e-ulfat meñ ajnabī ko safar hai dar-pesh zulmatoñ kā
kahīñ vo rāhoñ meñ kho na jaa.e zarā darīcha ujaal rakhnā
bichhaḌne vaale ne vaqt-e-ruḳhsat kuchh is nazar se palaT ke dekhā
ki jaise vo bhī ye kah rahā ho tum apne ghar kā ḳhayāl rakhnā
ye dhuup chhāñv kā khel hai yā ḳhizāñ bahāroñ kī ghaat meñ hai
nasīb sub.h-e-urūj ho to nazar meñ shām-e-zavāl rakhnā
kise ḳhabar hai ki kab ye mausam uḌā ke rakh degā ḳhaak 'āzar'
tum ehtiyātan zamīñ ke sar par falak kī chādar hī Daal rakhnā
tum aisa karna ki koi jugnu koi sitara sambhaal rakhna
mere andheron ki fikr chhoDo bas apne ghar ka KHayal rakhna
ujaD mausam mein ret-dharti pe fasl boi thi chandni ki
ab us mein ugne lage andhere to kaisa ji mein malal rakhna
dayar-e-ulfat mein ajnabi ko safar hai dar-pesh zulmaton ka
kahin wo rahon mein kho na jae zara daricha ujal rakhna
bichhaDne wale ne waqt-e-ruKHsat kuchh is nazar se palaT ke dekha
ki jaise wo bhi ye kah raha ho tum apne ghar ka KHayal rakhna
ye dhup chhanw ka khel hai ya KHizan bahaaron ki ghat mein hai
nasib subh-e-uruj ho to nazar mein sham-e-zawal rakhna
kise KHabar hai ki kab ye mausam uDa ke rakh dega KHak 'azar'
tum ehtiyatan zamin ke sar par falak ki chadar hi Dal rakhna
Source: Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 11.02.2015)
Leave a comment