Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ezaz Afzal

  • Ghazal


humne maiKHane ki taqdis bacha li hoti


ham ne maiḳhāne kī taqdīs bachā lī hotī
koī botal to yahāñ ḳhuun se ḳhālī hotī

is kī buniyād agar zohd ne Daalī hotī
diin kī tarah ye duniyā bhī ḳhayālī hotī

anjuman dāġh-e-jigar kī mutahammil na huī
kaash ham ne bhī koī sham.a jalā lī hotī

sach to ye hai kahā gar jurm na sābit hotā
ham ne ḳhud maañg ke jiine kī sazā lī hotī

aaj is moḌ pe ham haiñ ki agar bas chaltā
lauT jaane kī koī raah nikālī hotī

tum ne qānūn meñ tarmīm kī zahmat kyuuñ kī
ham ne ḳhud qaid kī mī.ād baḌhā lī hotī

vus.at-e-shauq ne rakkhā na kahīñ kā ham ko
varna har dil meñ jagah apnī banā lī hotī

hum ne maiKHane ki taqdis bacha li hoti
koi botal to yahan KHun se KHali hoti

is ki buniyaad agar zohd ne Dali hoti
din ki tarah ye duniya bhi KHayali hoti

anjuman dagh-e-jigar ki mutahammil na hui
kash hum ne bhi koi shama jala li hoti

sach to ye hai kaha gar jurm na sabit hota
hum ne KHud mang ke jine ki saza li hoti

aaj is moD pe hum hain ki agar bas chalta
lauT jaane ki koi rah nikali hoti

tum ne qanun mein tarmim ki zahmat kyun ki
hum ne KHud qaid ki miad baDha li hoti

wusat-e-shauq ne rakkha na kahin ka hum ko
warna har dil mein jagah apni bana li hoti


Source: Book : Kalam-e-aizaz afzal (Pg. 87) Author : Aizaz Afzal Publication : Usmania Book Depot

Leave a comment

+