nigāh-e-bāġhbāñ kuchh mehrbāñ ma.alūm hotī hai
zamīñ par aaj shāḳh-e-āshiyāñ ma.alūm hotī hai
bulāyā jā rahā hai jānib-e-dār-o-rasan ham ko
muqaddar meñ hayāt-e-jāvidāñ ma.alūm hotī hai
nigāhoñ meñ haiñ kis ke āriz-e-gul-rañg ke jalve
ki duniyā gulistāñ-dar-gulistāñ ma.alūm hotī hai
mirī kashtī ko shikva bahr-e-be-pāyāñ kī tañgī kā
tujhe ek aabjū bhī be-karāñ ma.alūm hotī hai
pahuñch kar āsmāñ par bhī to dekho ai zamīñ vaalo
vahāñ se ye zamīñ bhī āsmāñ ma.alūm hotī hai
nigah-e-baghban kuchh mehrban malum hoti hai
zamin par aaj shaKH-e-ashiyan malum hoti hai
bulaya ja raha hai jaanib-e-dar-o-rasan hum ko
muqaddar mein hayat-e-jawidan malum hoti hai
nigahon mein hain kis ke aariz-e-gul-rang ke jalwe
ki duniya gulistan-dar-gulistan malum hoti hai
meri kashti ko shikwa bahr-e-be-payan ki tangi ka
tujhe ek aabju bhi be-karan malum hoti hai
pahunch kar aasman par bhi to dekho ai zamin walo
wahan se ye zamin bhi aasman malum hoti hai
Source: Book : Kalam-e-aizaz afzal (Pg. 115) Author : Aizaz Afzal Publication : Usmania Book Depot
Leave a comment