Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ezaz Afzal

  • Ghazal


ye shahr ye KHwabon ka samundar na bachega


ye shahr ye ḳhvāboñ kā samundar na bachegā
jab aag lagegī to koī ghar na bachegā

yā naqsh ubhāro koī yā aks ko puujo
shīshe ko bachāoge to patthar na bachegā

ehsās-e-rqābat se jabīnoñ ko bachāo
Takrā.eñge sajde to koī dar na bachegā

ai niiñd chhupe rahne de do-chār nazāre
jab aañkh khulegī koī manzar na bachegā

maqtal kī siyāsat na hamārī na tumhārī
tafrīq karoge to koī sar na bachegā

ye shahr ye KHwabon ka samundar na bachega
jab aag lagegi to koi ghar na bachega

ya naqsh ubhaaro koi ya aks ko pujo
shishe ko bachaoge to patthar na bachega

ehsas-e-rqabat se jabinon ko bachao
Takraenge sajde to koi dar na bachega

ai nind chhupe rahne de do-chaar nazare
jab aankh khulegi koi manzar na bachega

maqtal ki siyasat na hamari na tumhaari
tafriq karoge to koi sar na bachega


Source: Book : Kalam-e-aizaz afzal (Pg. 137) Author : Aizaz Afzal Publication : Usmania Book Depot

Leave a comment

+