dil haiñ yuuñ muztarib makānoñ meñ
machhliyāñ jaise martabānoñ meñ
dhuup se DhūñDte haiñ rāh-e-farār
log shīshe ke sā.ebānoñ meñ
be-irāda kalām kī ḳhvāhish
be-sabab luknateñ zabānoñ meñ
terī aamad pe jaise lauT aayā
vaqt guzre hue zamānoñ meñ
dil dhaḌaktā hai har sitāre kā
aaj kī raat āsmānoñ meñ
zañg-ālūd ho ga.e jazbī
jam ga.e harf sard-ḳhānoñ meñ
reshmī log DhūñDte haiñ ham
shahr ke āhanī makānoñ meñ
dil hain yun muztarib makanon mein
machhliyan jaise martabanon mein
dhup se DhunDte hain rah-e-farar
log shishe ke saebanon mein
be-irada kalam ki KHwahish
be-sabab luknaten zabanon mein
teri aamad pe jaise lauT aaya
waqt guzre hue zamanon mein
dil dhaDakta hai har sitare ka
aaj ki raat aasmanon mein
zang-alud ho gae jazbi
jam gae harf sard-KHanon mein
reshmi log DhunDte hain hum
shahr ke aahani makanon mein
Source: Book : Mujhe Koi Sham Udhar Do (Pg. 91) Author : Aitabar Sajid Publication : Ilm o Irfan Publishers Lahore (2007,2009) Edition : 2007,2009
Leave a comment