shahr-e-havā meñ jalte rahnā andeshoñ kī chaukhaT par
raat ga.e tak uljhe rahnā be-mafhum ḳhayāloñ meñ
qasr-e-umr gavāhī degā kaise kaise karb sahe
kaisī kaisī rut guzrī hai ham par itne sāloñ meñ
dosh-e-ḳhalā se ḳhāk-e-zamīñ par utre to ehsās huā
taare bāñTne vaale raahī paḌ ga.e kin janjāloñ meñ
le aa.ī kis qarya-e-shab meñ ik jhūTe mahtāb kī chaah
saaya saaya bhaTak rahā huuñ be-tanvīr ujāloñ meñ
mausam mausam yahī rahā gar ḳhushbū kī tahqīr kā rañg
siise kī kaliyāñ phūTeñgī ab lohe kī Dāloñ meñ
'sājid' ab tak bhugat rahe haiñ ik be-ant sazā kī umr
apnā naam likhā baiThe the ik din jiine vāloñ meñ
shahr-e-hawa mein jalte rahna andeshon ki chaukhaT par
raat gae tak uljhe rahna be-mafhum KHayalon mein
qasr-e-umr gawahi dega kaise kaise karb sahe
kaisi kaisi rut guzri hai hum par itne salon mein
dosh-e-KHala se KHak-e-zamin par utre to ehsas hua
tare banTne wale rahi paD gae kin janjalon mein
le aai kis qarya-e-shab mein ek jhuTe mahtab ki chah
saya saya bhaTak raha hun be-tanwir ujalon mein
mausam mausam yahi raha gar KHushbu ki tahqir ka rang
sise ki kaliyan phuTengi ab lohe ki Dalon mein
'sajid' ab tak bhugat rahe hain ek be-ant saza ki umr
apna nam likha baiThe the ek din jine walon mein
Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 328) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009
Leave a comment