Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Etibar Sajid

  • Ghazal


phir wahi lambi do-pahren-surmai hain phir wahi dil ki haalat hai


phir vahī lambī do-pahreñ-surma.ī haiñ phir vahī dil kī hālat hai
bāhar kitnā sannāTā hai andar kitnī vahshat hai

shaam kareñ kaise is din kī ThanDī sūrat dekheñ kin kī
idhar udhar to dhuāñ uḌātī aag ugaltī ḳhilqat hai

jis ko ham ne chāhā thā vo kahīñ nahīñ is manzar meñ
jis ne ham ko pyaar kiyā vo sāmne vaalī mūrat hai

phuul babūl ke achchhe haiñ lekin sākit tasvīroñ meñ
sach much ke sehrāoñ kī to is dil jaisī sūrat hai

tere baad dukānoñ par maiñ jā kar pūchhtā rahtā huuñ
kyā vo ḳhushbū mil saktī hai ab us kī kyā qīmat hai

baḌe baḌe sapne nahīñ bo.e maiñ ne apne āñgan meñ
nannhī munnī ḳhushiyāñ haiñ mirī chhoTī sī ik jannat hai

phir wahi lambi do-pahren-surmai hain phir wahi dil ki haalat hai
bahar kitna sannaTa hai andar kitni wahshat hai

sham karen kaise is din ki ThanDi surat dekhen kin ki
idhar udhar to dhuan uDati aag ugalti KHilqat hai

jis ko hum ne chaha tha wo kahin nahin is manzar mein
jis ne hum ko pyar kiya wo samne wali murat hai

phul babul ke achchhe hain lekin sakit taswiron mein
sach much ke sehraon ki to is dil jaisi surat hai

tere baad dukanon par main ja kar puchhta rahta hun
kya wo KHushbu mil sakti hai ab us ki kya qimat hai

baDe baDe sapne nahin boe main ne apne aangan mein
nannhi munni KHushiyan hain meri chhoTi si ek jannat hai


Leave a comment

+