mirā hai kaun dushman merī chāhat kaun rakhtā hai
isī par sochte rahne kī fursat kaun rakhtā hai
makīnoñ ke ta.alluq hī se yaad aatī hai har bastī
vagarna sirf bām-o-dar se ulfat kaun rakhtā hai
nahīñ hai nirḳh koī mere in ash.ār-e-tāza kā
ye mere ḳhvāb haiñ ḳhvāboñ kī qīmat kaun rakhtā hai
dar-e-ḳhema khulā rakkhā hai gul kar ke diyā ham ne
so izn-e-ām hai lo shauq-e-ruḳhsat kaun rakhtā hai
mare dushman kā qad is bhiiḌ meñ mujh se to ūñchā ho
yahī meñ DhūñDhtā huuñ aisī qāmat kaun rakhtā hai
hamāre shahr kī raunaq hai kuchh mash.hūr logoñ se
magar sab jānte haiñ kaisī shohrat kaun rakhtā hai
mera hai kaun dushman meri chahat kaun rakhta hai
isi par sochte rahne ki fursat kaun rakhta hai
makinon ke talluq hi se yaad aati hai har basti
wagarna sirf baam-o-dar se ulfat kaun rakhta hai
nahin hai nirKH koi mere in ashaar-e-taza ka
ye mere KHwab hain KHwabon ki qimat kaun rakhta hai
dar-e-KHema khula rakkha hai gul kar ke diya hum ne
so izn-e-am hai lo shauq-e-ruKHsat kaun rakhta hai
mare dushman ka qad is bhiD mein mujh se to uncha ho
yahi mein DhunDhta hun aisi qamat kaun rakhta hai
hamare shahr ki raunaq hai kuchh mashhur logon se
magar sab jaante hain kaisi shohrat kaun rakhta hai
Leave a comment