raste kā intiḳhāb zarūrī sā ho gayā
ab iḳhtitām-e-bāb zarūrī sā ho gayā
ham chup rahe to aur bhī ilzām aa.egā
ab kuchh na kuchh javāb zarūrī sā ho gayā
ham Tālte rahe ki ye naubat na aane paa.e
phir hijr kā azaab zarūrī sā ho gayā
har shaam jald sone kī aadat hī paḌ ga.ī
har raat ek ḳhvāb zarūrī sā ho gayā
aahoñ se TūTtā nahīñ ye gumbad-e-siyāh
ab sañg-e-āftāb zarūrī sā ho gayā
denā hai imtihān tumhāre firāq kā
ab sabr kā nisāb zarūrī sā ho gayā
raste ka intiKHab zaruri sa ho gaya
ab iKHtitam-e-bab zaruri sa ho gaya
hum chup rahe to aur bhi ilzam aaega
ab kuchh na kuchh jawab zaruri sa ho gaya
hum Talte rahe ki ye naubat na aane pae
phir hijr ka azab zaruri sa ho gaya
har sham jald sone ki aadat hi paD gai
har raat ek KHwab zaruri sa ho gaya
aahon se TuTta nahin ye gumbad-e-siyah
ab sang-e-aftab zaruri sa ho gaya
dena hai imtihan tumhaare firaq ka
ab sabr ka nisab zaruri sa ho gaya
Leave a comment