Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Etibar Sajid

  • Ghazal


meri ruh mein jo utar saken wo mohabbaten mujhe chahiyen


mirī ruuh meñ jo utar sakeñ vo mohabbateñ mujhe chāhiyeñ
jo sarāb hoñ na azaab hoñ vo rifāqateñ mujhe chāhiyeñ

unhīñ sā.atoñ kī talāsh hai jo calendaroñ se utar ga.iiñ
jo samay ke saath guzar ga.iiñ vahī fursateñ mujhe chāhiyeñ

kahīñ mil sakeñ to sameT lā mare roz o shab kī kahāniyāñ
jo ġhubār-e-vaqt meñ chhup ga.iiñ vo hikāyateñ mujhe chāhiyeñ

jo mirī shaboñ ke charāġh the jo mirī umiid ke baaġh the
vahī log haiñ mirī aarzū vahī sūrateñ mujhe chāhiyeñ

tirī qurbateñ nahīñ chāhiyeñ marī shā.irī ke mizāj ko
mujhe fāsloñ se davām de tarī furqateñ mujhe chāhiyeñ

mujhe aur kuchh nahīñ chāhiye ye duā.eñ haiñ mare sā.ebāñ
kaḌī dhuup meñ kahīñ mil sakeñ to yahī chhateñ mujhe chāhiyeñ

meri ruh mein jo utar saken wo mohabbaten mujhe chahiyen
jo sarab hon na azab hon wo rifaqaten mujhe chahiyen

unhin saaton ki talash hai jo calendaron se utar gain
jo samay ke sath guzar gain wahi fursaten mujhe chahiyen

kahin mil saken to sameT la mare roz o shab ki kahaniyan
jo ghubar-e-waqt mein chhup gain wo hikayaten mujhe chahiyen

jo meri shabon ke charagh the jo meri umid ke bagh the
wahi log hain meri aarzu wahi suraten mujhe chahiyen

teri qurbaten nahin chahiyen mari shairi ke mizaj ko
mujhe faslon se dawam de tari furqaten mujhe chahiyen

mujhe aur kuchh nahin chahiye ye duaen hain mare saeban
kaDi dhup mein kahin mil saken to yahi chhaten mujhe chahiyen


Leave a comment

+