band darīche suunī galiyāñ an-dekhe anjāne log
kis nagrī meñ aa nikle haiñ 'sājid' ham dīvāne log
ek hamī nā-vāqif Thahre rūp-nagar kī galiyoñ se
bhes badal kar milne vaale sab jāne-pahchāne log
din ko raat kaheñ so bar-haq sub.h ko shaam kaheñ so ḳhuub
aap kī baat kā kahnā hī kyā aap hue farzāne log
shikva kyā aur kaisī shikāyat āḳhir kuchh buniyād to ho
tum par merā haq hī kyā hai tum Thahre begāne log
shahr kahāñ ḳhālī rahtā hai ye dariyā har-dam bahtā hai
aur bahut se mil jā.eñge ham aise dīvāne log
sunā hai us ke ahd-e-vafā meñ havā bhī muft nahīñ miltī
un galiyoñ meñ har har saañs pe bharte haiñ jurmāne log
band dariche suni galiyan an-dekhe anjaane log
kis nagri mein aa nikle hain 'sajid' hum diwane log
ek hami na-waqif Thahre rup-nagar ki galiyon se
bhes badal kar milne wale sab jaane-pahchane log
din ko raat kahen so bar-haq subh ko sham kahen so KHub
aap ki baat ka kahna hi kya aap hue farzane log
shikwa kya aur kaisi shikayat aaKHir kuchh buniyaad to ho
tum par mera haq hi kya hai tum Thahre begane log
shahr kahan KHali rahta hai ye dariya har-dam bahta hai
aur bahut se mil jaenge hum aise diwane log
suna hai us ke ahd-e-wafa mein hawa bhi muft nahin milti
un galiyon mein har har sans pe bharte hain jurmane log
Source: Book : Mujhe Koi Sham Udhar Do (Pg. 51) Author : Aitabar Sajid Publication : Ilm o Irfan Publishers Lahore (2007,2009) Edition : 2007,2009
Leave a comment