Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Etibar Sajid

  • Ghazal


na guman maut ka hai na KHayal zindagi ka


na gumān maut kā hai na ḳhayāl zindagī kā
so ye haal in dinoñ hai mire dil kī be-kasī kā

maiñ shikasta baam o dar meñ jise jā ke DhūñDtā thā
koī yaad thī kisī kī koī naam thā kisī kā

maiñ havāoñ se hirāsāñ vo ghuTan se dil-girafta
maiñ charāġh tīrgī kā vo gulāb raushnī kā

abhī rail ke safar meñ haiñ bahut nihāl donoñ
kahīñ rog ban na jaa.e yahī saath do ghaḌī kā

koī shahr aa rahā hai to ye ḳhauf aa rahā hai
koī jaane kab utar le ki bharosa kyā kisī kā

koī muḳhtalif nahīñ hai ye dhuāñ ye rā.egānī
ki jo haal shahr kā hai vahī apnī shā.irī kā

na guman maut ka hai na KHayal zindagi ka
so ye haal in dinon hai mere dil ki be-kasi ka

main shikasta baam o dar mein jise ja ke DhunDta tha
koi yaad thi kisi ki koi nam tha kisi ka

main hawaon se hirasan wo ghuTan se dil-girafta
main charagh tirgi ka wo gulab raushni ka

abhi rail ke safar mein hain bahut nihaal donon
kahin rog ban na jae yahi sath do ghaDi ka

koi shahr aa raha hai to ye KHauf aa raha hai
koi jaane kab utar le ki bharosa kya kisi ka

koi muKHtalif nahin hai ye dhuan ye raegani
ki jo haal shahr ka hai wahi apni shairi ka

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Unknown

Leave a comment

+