Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Etibar Sajid

  • Ghazal


bahut sajae the aankhon mein KHwab maine bhi


bahut sajā.e the āñkhoñ meñ ḳhvāb maiñ ne bhī
sahe haiñ us ke liye ye azaab maiñ ne bhī

judā.iyoñ kī ḳhalish us ne bhī na zāhir kī
chhupā.e apne ġham o iztirāb maiñ ne bhī

diye bujhā ke sar-e-shām so gayā thā vo
bitā.ī so ke shab-e-māhtāb maiñ ne bhī

yahī nahīñ ki mujhe us ne dard-e-hijr diyā
judā.iyoñ kā diyā hai javāb maiñ ne bhī

kisī ne ḳhuun meñ tar chūḌiyāñ jo bhejī haiñ
likhī hai ḳhūn-e-jigar se kitāb maiñ ne bhī

ḳhizāñ kā vaar bahut kār-gar thā dil pe magar
bahut bachā ke rakhā ye gulāb maiñ ne bhī

bahut sajae the aankhon mein KHwab main ne bhi
sahe hain us ke liye ye azab main ne bhi

judaiyon ki KHalish us ne bhi na zahir ki
chhupae apne gham o iztirab main ne bhi

diye bujha ke sar-e-sham so gaya tha wo
bitai so ke shab-e-mahtab main ne bhi

yahi nahin ki mujhe us ne dard-e-hijr diya
judaiyon ka diya hai jawab main ne bhi

kisi ne KHun mein tar chuDiyan jo bheji hain
likhi hai KHun-e-jigar se kitab main ne bhi

KHizan ka war bahut kar-gar tha dil pe magar
bahut bacha ke rakha ye gulab main ne bhi


Leave a comment

+