DhūñDte kyā ho in āñkhoñ meñ kahānī merī
ḳhud meñ gum rahnā to aadat hai purānī merī
bhiiḌ meñ bhī tumheñ mil jā.ūñgā āsānī se
khoyā khoyā huā rahnā hai nishānī merī
maiñ ne ik baar kahā thā ki bahut pyāsā huuñ
tab se mash.hūr huī tishna-dahānī merī
yahī dīvār-o-dar-o-bām the mere hamrāz
inhī galiyoñ meñ bhaTaktī thī javānī merī
tū bhī is shahr kā baasī hai to dil se lag jā
tujh se vābasta hai ik yaad purānī merī
karbalā dasht-e-mohabbat ko banā rakkhā hai
kyā ġhazal-goī hai kyā marsiya-ḳhvānī merī
dhīme lahje kā suḳhnavar huuñ na sahbā huuñ na josh
maiñ kahāñ aur kahāñ sho.ala-bayānī merī
DhunDte kya ho in aankhon mein kahani meri
KHud mein gum rahna to aadat hai purani meri
bhiD mein bhi tumhein mil jaunga aasani se
khoya khoya hua rahna hai nishani meri
main ne ek bar kaha tha ki bahut pyasa hun
tab se mashhur hui tishna-dahani meri
yahi diwar-o-dar-o-baam the mere hamraaz
inhi galiyon mein bhaTakti thi jawani meri
tu bhi is shahr ka basi hai to dil se lag ja
tujh se wabasta hai ek yaad purani meri
karbala dasht-e-mohabbat ko bana rakkha hai
kya ghazal-goi hai kya marsiya-KHwani meri
dhime lahje ka suKHnawar hun na sahba hun na josh
main kahan aur kahan shoala-bayani meri
Source: Book : Mujhe Koi Sham Udhar Do (Pg. 38) Author : Aitabar Sajid Publication : Ilm o Irfan Publishers Lahore (2007,2009) Edition : 2007,2009
Leave a comment