Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Etibar Sajid

  • Ghazal


tere jaisa mera bhi haal tha na sukun tha na qarar tha


tire jaisā merā bhī haal thā na sukūn thā na qarār thā
yahī umr thī mire ham-nashīñ ki kisī se mujh ko bhī pyaar thā

maiñ samajh rahā huuñ tirī kasak tirā merā dard hai mushtarak
isī ġham kā tū bhī asiir hai isī dukh kā maiñ bhī shikār thā

faqat ek dhun thī ki rāt-din isī ḳhvāb-zār meñ gum raheñ
vo surūr aisā surūr thā vo ḳhumār aisā ḳhumār thā

kabhī lamha-bhar kī bhī guftugū mirī us ke saath na ho sakī
mujhe fursateñ nahīñ mil sakīñ vo havā ke rath par savār thā

ham ajiib tarz ke log the ki hamāre aur hī rog the
maiñ ḳhizāñ meñ us kā thā muntazir use intizār-e-bahār thā

use paḌh ke tum na samajh sake ki mirī kitāb ke ruup meñ
koī qarz thā ka.ī saal kā ka.ī rat-jagoñ kā udhār thā

tere jaisa mera bhi haal tha na sukun tha na qarar tha
yahi umr thi mere ham-nashin ki kisi se mujh ko bhi pyar tha

main samajh raha hun teri kasak tera mera dard hai mushtarak
isi gham ka tu bhi asir hai isi dukh ka main bhi shikar tha

faqat ek dhun thi ki raat-din isi KHwab-zar mein gum rahen
wo surur aisa surur tha wo KHumar aisa KHumar tha

kabhi lamha-bhar ki bhi guftugu meri us ke sath na ho saki
mujhe fursaten nahin mil sakin wo hawa ke rath par sawar tha

hum ajib tarz ke log the ki hamare aur hi rog the
main KHizan mein us ka tha muntazir use intizar-e-bahaar tha

use paDh ke tum na samajh sake ki meri kitab ke rup mein
koi qarz tha kai sal ka kai rat-jagon ka udhaar tha


Source: Book : Mujhe Koi Sham Udhar Do (Pg. 19) Author : Aitabar Sajid Publication : Ilm o Irfan Publishers Lahore (2007,2009) Edition : 2007,2009

Leave a comment

+