Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Erum Zehra

  • Ghazal


teri Dagar ko main apni nazar mein rakhti hun


tirī Dagar ko maiñ apnī nazar meñ rakhtī huuñ
hazār phuul tirī rāhguzar meñ rakhtī huuñ

maiñ terī yaad ko āñchal meñ bāñdh laa.ī huuñ
tire ḳhayāl ko zād-e-safar meñ rakhtī huuñ

tū ek pal bhī judā mujh se ho nahīñ saktā
maiñ terī yaad ko shām-o-sahar meñ rakhtī huuñ

mirī vafāoñ kī garmī se tū bhī pighlegā
ik aisā sho.ala maiñ apne jigar meñ rakhtī huuñ

mujhe Darā.egā kaise ye pāniyoñ kā mizāj
maiñ apnī kashtī hamesha bhañvar meñ rakhtī huuñ

talāsh karte ho tum mujh ko chāñd ke andar
maiñ apne chehre kā partav qamar meñ rakhtī huuñ

'iram' ne sheroñ se sab ko asiir aise kiyā
ki jaise jaadū maiñ apne hunar meñ rakhtī huuñ

teri Dagar ko main apni nazar mein rakhti hun
hazar phul teri rahguzar mein rakhti hun

main teri yaad ko aanchal mein bandh lai hun
tere KHayal ko zad-e-safar mein rakhti hun

tu ek pal bhi juda mujh se ho nahin sakta
main teri yaad ko sham-o-sahar mein rakhti hun

meri wafaon ki garmi se tu bhi pighlega
ek aisa shoala main apne jigar mein rakhti hun

mujhe Daraega kaise ye paniyon ka mizaj
main apni kashti hamesha bhanwar mein rakhti hun

talash karte ho tum mujh ko chand ke andar
main apne chehre ka partaw qamar mein rakhti hun

'iram' ne sheron se sab ko asir aise kiya
ki jaise jadu main apne hunar mein rakhti hun


Leave a comment

+