mire paañv meñ paa.el kī vahī jhankār zinda hai
mohabbat kī kahānī meñ mirā kirdār zinda hai
usī ke naam se har-vaqt merā dil dhaḌaktā hai
maiñ zinda is liye huuñ ki mirā dildār zinda huuñ
jahāñ kal har qadam par muskurāhaT raqs kartī thī
maiñ ḳhush huuñ aaj bhī vo raunaq-e-bāzār zinda hai
yahāñ dekhā hai maiñ ne ḳhud-suroñ ko ḳhaak meñ milte
tirā sar jhuk gayā lekin mirā inkār zinda hai
musavvir ne to saarī dilkashī tasvīr meñ bhar dī
rahegā fan salāmat jab talak fankār zinda hai
mirī tahzīb mere saath hai mahv-e-safar har-dam
mire afkār zinda haiñ mirā iz.hār zinda hai
'iram' par dhuup kā ehsās ġhālib aa nahīñ saktā
mire sar par abhī tak sāya-e-dīvār zinda hai
mere panw mein pael ki wahi jhankar zinda hai
mohabbat ki kahani mein mera kirdar zinda hai
usi ke nam se har-waqt mera dil dhaDakta hai
main zinda is liye hun ki mera dildar zinda hun
jahan kal har qadam par muskurahaT raqs karti thi
main KHush hun aaj bhi wo raunaq-e-bazar zinda hai
yahan dekha hai main ne KHud-suron ko KHak mein milte
tera sar jhuk gaya lekin mera inkar zinda hai
musawwir ne to sari dilkashi taswir mein bhar di
rahega fan salamat jab talak fankar zinda hai
meri tahzib mere sath hai mahw-e-safar har-dam
mere afkar zinda hain mera izhaar zinda hai
'iram' par dhup ka ehsas ghaalib aa nahin sakta
mere sar par abhi tak saya-e-diwar zinda hai
Leave a comment