Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Erum Zehra

  • Ghazal


main kai barson se teri justuju karti rahi


maiñ ka.ī barsoñ se terī justujū kartī rahī
is safar meñ ārzūoñ kā lahū kartī rahī

kyā ḳhabar tujh ko guzārī kaise maiñ ne shām-e-ġham
āñsuoñ kā paanī le kar maiñ vuzū kartī rahī

jab tirī yādoñ ne mujh ko niim pāgal kar diyā
maiñ tirī tasvīr se hī guftugū kartī rahī

kis tarah apnī tamannāoñ kā maiñ kartī shumār
bas tujhe paane kī har-dam aarzū kartī rahī

dil ke darvāze pe jab bhī yaad kī dastak huī
maiñ tasavvur meñ jigar apnā rafū kartī rahī

dil kī dhaḌkan kah rahī hai tū achānak aa.egā
ḳhud ko din-bhar ā.īne ke rū-ba-rū kartī rahī

sochnā bhī mat kabhī tujh ko bhulā degī 'iram'
vasl kī ḳhvāhish har ik lamha numū kartī rahī

main kai barson se teri justuju karti rahi
is safar mein aarzuon ka lahu karti rahi

kya KHabar tujh ko guzari kaise main ne sham-e-gham
aansuon ka pani le kar main wuzu karti rahi

jab teri yaadon ne mujh ko nim pagal kar diya
main teri taswir se hi guftugu karti rahi

kis tarah apni tamannaon ka main karti shumar
bas tujhe pane ki har-dam aarzu karti rahi

dil ke darwaze pe jab bhi yaad ki dastak hui
main tasawwur mein jigar apna rafu karti rahi

dil ki dhaDkan kah rahi hai tu achanak aaega
KHud ko din-bhar aaine ke ru-ba-ru karti rahi

sochna bhi mat kabhi tujh ko bhula degi 'iram'
wasl ki KHwahish har ek lamha numu karti rahi


Leave a comment

+