Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Elizabeth Kurian Mona

  • Ghazal


ai gham-e-dil ye majra kya hai


ai ġham-e-dil ye mājrā kyā hai
dard-e-ulfat se vāsta kyā hai

rahne do in hasīn va.adoñ ko
jhūTe va.ade haiñ sab nayā kyā hai

jām-o-mīnā ko chhoḌ kar dekho
chashm-e-sāqī kā ye nasha kyā hai

sho.ala-e-ġham ko aur bhaḌkā.e
kaun samjhe ki ye huā kyā hai

chhin gayā hai sukūn bhī merā
āshiqī ne mujhe diyā kyā hai

chāragar koī bhī na jaan sakā
maut aur ishq kī davā kyā hai

kyā bharosa hai zindagānī kā
jaane taqdīr meñ likhā kyā hai

chashm-e-pur-nam magar laboñ pe hañsī
dil meñ 'monā' tire chhupā kyā hai

ai gham-e-dil ye majra kya hai
dard-e-ulfat se wasta kya hai

rahne do in hasin wadon ko
jhuTe wade hain sab naya kya hai

jam-o-mina ko chhoD kar dekho
chashm-e-saqi ka ye nasha kya hai

shoala-e-gham ko aur bhaDkae
kaun samjhe ki ye hua kya hai

chhin gaya hai sukun bhi mera
aashiqi ne mujhe diya kya hai

chaaragar koi bhi na jaan saka
maut aur ishq ki dawa kya hai

kya bharosa hai zindagani ka
jaane taqdir mein likha kya hai

chashm-e-pur-nam magar labon pe hansi
dil mein 'mona' tere chhupa kya hai


Source: Book : Zauq-e-justuju (Pg. 27) Author : Elizabeth Kurian Mona Publication : Educational Publishing House (2016) Edition : 2016

Leave a comment

+