kahāñ sabāt-e-ġham-e-dil kahāñ sarāb-e-sukūñ
vo ḳhush-nasīb hai mil jaa.e jis ko soz-e-darūñ
ḳhud aap dekh leñ kyā haal dil zabāñ se kahūñ
abhī to haiñ mirī āñkhoñ meñ chand qatra-e-ḳhūñ
ye shahr-e-ham-nafasāñ kitnī baar ujḌā hai
kabhī na ho sakā lekin sar-e-hayāt nigūñ
abhī to maslahat-e-vaqt hī pe nāzāñ hai
abhī ḳhirad ko mayassar kahāñ maqām-e-junūñ
nigāh nīchī kiye munfa.il se baiThe haiñ
ab un se shikva-e-bedād kis zabāñ se karūñ
nikhār aa hī gayā ḳhushk ḳhushk chehroñ par
milā to girya-e-shabnam se kuchh guloñ ko sukūñ
dar-asl hai mirī hastī kī kā.enāt 'ejāz'
vo ik nigāh jise zindagī kā raaz kahūñ
kahan sabaat-e-gham-e-dil kahan sarab-e-sukun
wo KHush-nasib hai mil jae jis ko soz-e-darun
KHud aap dekh len kya haal dil zaban se kahun
abhi to hain meri aankhon mein chand qatra-e-KHun
ye shahr-e-ham-nafasan kitni bar ujDa hai
kabhi na ho saka lekin sar-e-hayat nigun
abhi to maslahat-e-waqt hi pe nazan hai
abhi KHirad ko mayassar kahan maqam-e-junun
nigah nichi kiye munfail se baiThe hain
ab un se shikwa-e-bedad kis zaban se karun
nikhaar aa hi gaya KHushk KHushk chehron par
mila to girya-e-shabnam se kuchh gulon ko sukun
dar-asl hai meri hasti ki kaenat 'ejaz'
wo ek nigah jise zindagi ka raaz kahun
Source: Haft Rang(Bijnor Ke Muqami Shora ka Intikhab-e-kalam)
Leave a comment