Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Rahmani

  • Ghazal


naqsh-bar-ab ho gaya hun main


naqsh-bar-āb ho gayā huuñ maiñ
kitnā kamyāb ho gayā huuñ maiñ

jhurriyāñ kah rahī haiñ chehre kī
ḳhushk tālāb ho gayā huuñ maiñ

kyā karūñgā maiñ ab ḳhushī le kar
ġham se sairāb ho gayā huuñ maiñ

yaad rakhtā nahīñ mujhe koī
arsa-e-ḳhvāb ho gayā huuñ maiñ

is qadar bār-e-ġham uThāyā hai
jhuk ke mehrāb ho gayā huuñ maiñ

ik masīhā kī mehrbānī se
jām-e-zahrāb ho gayā huuñ maiñ

ḳhushk aañsū hue haiñ jis din se
dasht-e-be-āb ho gayā huuñ maiñ

hai ye ehsān jabr-e-duniyā kā
saḳht a.asāb ho gayā huuñ maiñ

us ne jis din se chhū liyā mujh ko
rashk-e-mahtāb ho gayā huuñ maiñ

ḳhud hī 'ejāz' apnā dushman huuñ
sirf ahbāb ho gayā huuñ maiñ

naqsh-bar-ab ho gaya hun main
kitna kamyab ho gaya hun main

jhurriyan kah rahi hain chehre ki
KHushk talab ho gaya hun main

kya karunga main ab KHushi le kar
gham se sairab ho gaya hun main

yaad rakhta nahin mujhe koi
arsa-e-KHwab ho gaya hun main

is qadar bar-e-gham uThaya hai
jhuk ke mehrab ho gaya hun main

ek masiha ki mehrbani se
jam-e-zahrab ho gaya hun main

KHushk aansu hue hain jis din se
dasht-e-be-ab ho gaya hun main

hai ye ehsan jabr-e-duniya ka
saKHt aasab ho gaya hun main

us ne jis din se chhu liya mujh ko
rashk-e-mahtab ho gaya hun main

KHud hi 'ejaz' apna dushman hun
sirf ahbab ho gaya hun main


Leave a comment

+