Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Rahmani

  • Ghazal


kitne ba-hosh ho gae hum log


kitne bā-hosh ho ga.e ham log
ḳhud-farāmosh ho ga.e ham log

jis ne chāhā hameñ aziyyat dī
aur ḳhāmosh ho ga.e ham log

dil kī āvāz bhī nahīñ sunte
kyā girāñ-gosh ho ga.e ham log

ham ko duniyā ne pārsā samjhā
jab ḳhatā-kosh ho ga.e ham log

pī ga.e jhiḌkiyāñ bhī saaqī kī
kyā balā-nosh ho ga.e ham log

is tarah pī rahe haiñ ḳhuun apnā
jaise mai-nosh ho ga.e ham log

shahr meñ is qadar the hañgāme
ghar meñ rū-posh ho ga.e ham log

kitne chehroñ pe aa ga.ī rañgat
jab se ḳhāmosh ho ga.e ham log

zaḳhm paa.e haiñ is qadar 'ejāz'
aaj gul-posh ho ga.e ham log

kitne ba-hosh ho gae hum log
KHud-faramosh ho gae hum log

jis ne chaha hamein aziyyat di
aur KHamosh ho gae hum log

dil ki aawaz bhi nahin sunte
kya giran-gosh ho gae hum log

hum ko duniya ne parsa samjha
jab KHata-kosh ho gae hum log

pi gae jhiDkiyan bhi saqi ki
kya bala-nosh ho gae hum log

is tarah pi rahe hain KHun apna
jaise mai-nosh ho gae hum log

shahr mein is qadar the hangame
ghar mein ru-posh ho gae hum log

kitne chehron pe aa gai rangat
jab se KHamosh ho gae hum log

zaKHm pae hain is qadar 'ejaz'
aaj gul-posh ho gae hum log


Leave a comment

+