Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Rahmani

  • Ghazal


hawa ke waste ek kaam chhoD aaya hun


havā ke vāste ik kaam chhoḌ aayā huuñ
diyā jalā ke sar-e-shām chhoḌ aayā huuñ

kabhī nasīb ho fursat to us ko paḌh lenā
vo ek ḳhat jo tire naam chhoḌ aayā huuñ

havā-e-dasht-o-bayābāñ bhī mujh se barham hai
maiñ apne ghar ke dar-o-bām chhoḌ aayā huuñ

koī charāġh sar-e-rahguzar nahīñ na sahī
maiñ naqsh-e-pā ko bahar-gām chhoḌ aayā huuñ

abhī to aur bahut us pe tabsire hoñge
maiñ guftugū meñ jo ib.hām chhoḌ aayā huuñ

ye kam nahīñ hai vazāhat mirī asīrī kī
paroñ ke rañg tah-e-dām chhoḌ aayā huuñ

vahāñ se ek qadam bhī na jā sakī aage
jahāñ pe gardish-e-ayyām chhoḌ aayā huuñ

mujhe jo DhūñDhnā chāhe vo DhūñDh le 'ejāz'
ki ab maiñ kūcha-e-gum-nām chhoḌ aayā huuñ

hawa ke waste ek kaam chhoD aaya hun
diya jala ke sar-e-sham chhoD aaya hun

kabhi nasib ho fursat to us ko paDh lena
wo ek KHat jo tere nam chhoD aaya hun

hawa-e-dasht-o-bayaban bhi mujh se barham hai
main apne ghar ke dar-o-baam chhoD aaya hun

koi charagh sar-e-rahguzar nahin na sahi
main naqsh-e-pa ko bahar-gam chhoD aaya hun

abhi to aur bahut us pe tabsire honge
main guftugu mein jo ibham chhoD aaya hun

ye kam nahin hai wazahat meri asiri ki
paron ke rang tah-e-dam chhoD aaya hun

wahan se ek qadam bhi na ja saki aage
jahan pe gardish-e-ayyam chhoD aaya hun

mujhe jo DhunDhna chahe wo DhunDh le 'ejaz'
ki ab main kucha-e-gum-nam chhoD aaya hun

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Ejaz Rahmani

Leave a comment

+