Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Rahi

  • Ghazal


tapti zamin pe panw na dhar ab bhi lauT ja


taptī zamīñ pe paañv na dhar ab bhī lauT jā
kyuuñ ho rahā hai ḳhāk-ba-sar ab bhī lauT jā

ab tak khule hue haiñ sadāqat ke rāste
band ho na jaa.eñ vaqt ke dar ab bhī lauT jā

itrā na tū navishta-e-dīvār paḌh bhī le
dār-o-rasan kī baat na kar ab bhī lauT jā

ā.ankhoñ ke bādbān se vīrāniyāñ bhī dekh
kis darja luT chukā hai ye ghar ab bhī lauT jā

'rāhī' abhī to shaam kī surḳhī bujhī nahīñ
zid kar na lait-o-la.al na kar ab bhī lauT jā

tapti zamin pe panw na dhar ab bhi lauT ja
kyun ho raha hai KHak-ba-sar ab bhi lauT ja

ab tak khule hue hain sadaqat ke raste
band ho na jaen waqt ke dar ab bhi lauT ja

itra na tu nawishta-e-diwar paDh bhi le
dar-o-rasan ki baat na kar ab bhi lauT ja

aaankhon ke baadban se viraniyan bhi dekh
kis darja luT chuka hai ye ghar ab bhi lauT ja

'rahi' abhi to sham ki surKHi bujhi nahin
zid kar na lait-o-lal na kar ab bhi lauT ja


Source: Book : Khayaabaan (Pg. 132) Author : Hassan Abbas Raza Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan

Leave a comment

+