maiñ ne kyā kaam lā-javāb kiyā
us ko aalam meñ intiḳhāb kiyā
karam us ke sitam se baḌh kar the
aaj jab baiTh kar hisāb kiyā
kaise motī chhupā.e āñkhoñ meñ
haa.e kis fan kā iktisāb kiyā
kaisī majbūriyāñ nasīb meñ thiiñ
zindagī kī ki ik azaab kiyā
saath jab gard-e-kū-e-yār rahī
har safar ham ne kāmyāb kiyā
kuchh hamāre likhe ga.e qisse
baare kuchh dāḳhil nisāb kiyā
kyā 'obaid' ab use maiñ duuñ ilzām
apnā ḳhāna to ḳhud ḳharāb kiyā
main ne kya kaam la-jawab kiya
us ko aalam mein intiKHab kiya
karam us ke sitam se baDh kar the
aaj jab baiTh kar hisab kiya
kaise moti chhupae aankhon mein
hae kis fan ka iktisab kiya
kaisi majburiyan nasib mein thin
zindagi ki ki ek azab kiya
sath jab gard-e-ku-e-yar rahi
har safar hum ne kaamyab kiya
kuchh hamare likhe gae qisse
bare kuchh daKHil nisab kiya
kya 'obaid' ab use main dun ilzam
apna KHana to KHud KHarab kiya
Leave a comment