Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Obaid

  • Ghazal


jo ja chuke hain ghaaliban utren kabhi zina tera


jo jā chuke haiñ ġhāliban utreñ kabhī ziina tirā
ai kahkashāñ ai kahkashāñ raushan rahe rastā tirā

ḳhūñ-nāba-e-dil kī kashīd āḳhir ko tire dam se hai
kahne ko merā mai-kada lekin hai mai-ḳhāna tirā

pal-bhar meñ bādal chhā ga.e aur ḳhuub barsāteñ huiiñ
kal chaudhvīñ kī raat meñ kuchh yuuñ ḳhayāl aayā tirā

ai zindagī ai zindagī kuchh raushnī kuchh raushnī
chalā rahā thā shahr meñ muddat se dīvāna tirā

ab gāyakoñ meñ naam hai varna jo apne giit the
saare dil ke zaḳhm the dar-asl ehsāñ thā tirā

ġhazleñ mirī tere liye yādeñ tirī mere liye
ye ishq hai pūñjī mirī ye sher sarmāya tirā

jo ja chuke hain ghaaliban utren kabhi zina tera
ai kahkashan ai kahkashan raushan rahe rasta tera

KHun-naba-e-dil ki kashid aaKHir ko tere dam se hai
kahne ko mera mai-kada lekin hai mai-KHana tera

pal-bhar mein baadal chha gae aur KHub barsaten huin
kal chaudhwin ki raat mein kuchh yun KHayal aaya tera

ai zindagi ai zindagi kuchh raushni kuchh raushni
chala raha tha shahr mein muddat se diwana tera

ab gayakon mein nam hai warna jo apne git the
sare dil ke zaKHm the dar-asl ehsan tha tera

ghazlen meri tere liye yaaden teri mere liye
ye ishq hai punji meri ye sher sarmaya tera


Leave a comment

+