Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Obaid

  • Ghazal


gale lag kar mere wo jaane hansta tha ki rota tha


gale lag kar mire vo jaane hañstā thā ki rotā thā
na khul kar dhuup phailī thī na bādal khul ke barsā thā

kabhī dil bhī nahīñ ik zaḳhm āñkhoñ kī jagah aañsū
kabhī maiñ bhī na thā bas Diary meñ sher likkhā thā

vo har pal saath hai mere kahāñ tak us ko maiñ dekhūñ
ga.e vo din ki us ke naam par bhī dil dhaḌaktā thā

yahāñ har kashtī-e-jāñ par ka.ī māñjhī muqarrar the
udhar sāzish thī paanī kī idhar qaziya havā kā thā

chhupā kar le gayā apne dukhoñ ko saarī duniyā se
lagā thā yuuñ to ham tum sā vo jādūgar balā kā thā

gale lag kar mere wo jaane hansta tha ki rota tha
na khul kar dhup phaili thi na baadal khul ke barsa tha

kabhi dil bhi nahin ek zaKHm aankhon ki jagah aansu
kabhi main bhi na tha bas Diary mein sher likkha tha

wo har pal sath hai mere kahan tak us ko main dekhun
gae wo din ki us ke nam par bhi dil dhaDakta tha

yahan har kashti-e-jaan par kai manjhi muqarrar the
udhar sazish thi pani ki idhar qaziya hawa ka tha

chhupa kar le gaya apne dukhon ko sari duniya se
laga tha yun to hum tum sa wo jadugar bala ka tha


Leave a comment

+