tere dāman kī thī yā mast huā kis kī thī
saath mere chalī aa.ī vo sadā kis kī thī
kaun mujrim hai ki duurī hai vahī pahlī sī
paas aa kar chale jaane kī adā kis kī thī
dil to sulgā thā magar āñkhoñ meñ aañsū kyuuñ aa.e
mil ga.ī kis ko sazā aur ḳhatā kis kī thī
shaam aate hī utar aa.e mire gaañv meñ rañg
jis ke ye rañg the jaane vo qabā kis kī thī
ye mirā dil hai ki āñkheñ ki sitāroñ kī tarah
jalne bujhne kī sahar tak ye adā kis kī thī
chāñdnī raat ghane niim tale koī na thā
phir fazāoñ meñ vo ḳhushbū-e-hinā kis kī thī
tere daman ki thi ya mast hua kis ki thi
sath mere chali aai wo sada kis ki thi
kaun mujrim hai ki duri hai wahi pahli si
pas aa kar chale jaane ki ada kis ki thi
dil to sulga tha magar aankhon mein aansu kyun aae
mil gai kis ko saza aur KHata kis ki thi
sham aate hi utar aae mere ganw mein rang
jis ke ye rang the jaane wo qaba kis ki thi
ye mera dil hai ki aankhen ki sitaron ki tarah
jalne bujhne ki sahar tak ye ada kis ki thi
chandni raat ghane nim tale koi na tha
phir fazaon mein wo KHushbu-e-hina kis ki thi
Leave a comment