Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Obaid

  • Ghazal


gham bhi utna nahin ki tum se kahen


ġham bhī utnā nahīñ ki tum se kaheñ
aur chāra nahīñ ki tum se kaheñ

aaj ham be-karāñ samundar haiñ
tum vo dariyā nahīñ ki tum se kaheñ

yuuñ to marne se chain miltā hai
ye irāda nahīñ ki tum se kaheñ

niilī āñkhoñ kī chāñdnī ke liye
ab añdherā nahīñ ki tum se kaheñ

tum akele nahīñ rahe to kyā
ham bhī tanhā nahīñ ki tum se kaheñ

ab na vo ġham ki apne haath 'obaid'
shabnam-āsā nahīñ ki tum se kaheñ

gham bhi utna nahin ki tum se kahen
aur chaara nahin ki tum se kahen

aaj hum be-karan samundar hain
tum wo dariya nahin ki tum se kahen

yun to marne se chain milta hai
ye irada nahin ki tum se kahen

nili aankhon ki chandni ke liye
ab andhera nahin ki tum se kahen

tum akele nahin rahe to kya
hum bhi tanha nahin ki tum se kahen

ab na wo gham ki apne hath 'obaid'
shabnam-asa nahin ki tum se kahen


Leave a comment

+