Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Obaid

  • Ghazal


usne dekha tha ajab ek tamasha mujh mein


us ne dekhā thā ajab ek tamāshā mujh meñ
maiñ jo royā to koī hañstā rahā thā mujh meñ

merī āñkhoñ se ḳhabar jaan na lī ho us ne
koī bādal thā bahut TuuT ke barsā mujh meñ

jhāñkne se mirī āñkhoñ meñ sabhī Darne lage
jab se utrā hai koī ā.īna-ḳhāna mujh meñ

kyā huā thā mujhe kyuuñ sochtā thā us ke ḳhilāf
varna us ko thā ajab ek aqīda mujh meñ

saath saath us ke maiñ ḳhud rotā rahā thā us shaam magar
us ko detā jo dilāsa vo nahīñ thā mujh meñ

us ne dekha tha ajab ek tamasha mujh mein
main jo roya to koi hansta raha tha mujh mein

meri aankhon se KHabar jaan na li ho us ne
koi baadal tha bahut TuT ke barsa mujh mein

jhankne se meri aankhon mein sabhi Darne lage
jab se utra hai koi aaina-KHana mujh mein

kya hua tha mujhe kyun sochta tha us ke KHilaf
warna us ko tha ajab ek aqida mujh mein

sath sath us ke main KHud rota raha tha us sham magar
us ko deta jo dilasa wo nahin tha mujh mein


Leave a comment

+